Sep 29, 2011

Wajah

Zindagi mein bas saans lene ki wajah dhoondhti rehti hoon main,
Har ghadi bas jeene ki nayi wajah dhoondhti rehti hoon main.

Phoolon ki mehek mujhe agle mod tak le chale,
Hawa ka jhonka mujhe do saans aur de.
Pyaar ka pehla ehsaas mujhe mein ek nayi jaan bhare,
Khumaari si jo aaye, kahe thoda aur jeeya jaaye.

Khojti rahoon har pal kuch naya, kuch alag,
Maksat mile toh kuch pal ki ho raahat,
Warna bechaini sada, jhapke na meri palak,
Bas taak mein rahoon, shaayad mile junoon ki aahat.

Sthir na rahe yeh mann hai ek bhatakta raahi,
Talaash ho har pal ek naye gaanv ki,
Kal ek alag mod se hogi mulaaqat,
Yehi subah uthne ki wajah bann jaati.

Har raat sitaare mujhe banaa de chitrakaar,
Baadal ka peecha kar, sukhe paate si udta rahoon,
Jigyaasa hai amrit, jo mujhe zinda rakhe,
Indradhanush ki khoj mein hi jeevan rangeen banaaun.
  
Zindagi mein bas saans lene ki wajah dhoondhti rehti hoon main,
Har ghadi bas jeene ki nayi wajah dhoondhti rehti hoon main.

- © HAEM ROY

No comments: